Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha is liyey, tum saath thay meray
meray zar k talabgaron ki nazrain is liye uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray
mai ek pathar ka gard alood but't tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray
kisi sy aur kia taied ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram-e halaat thay meray
main jin sholon mein jalta tha sayad tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmaat thay meray
mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay ilzamaat thay meray
tasawor ban gia tasveer aakhir aik din
isi ka khoaf tha mujh ko yehi khadshaat thay meray

0 comments: