awarapan banjarapan, ek khala hai seene mein
iss dharti par jis pal sooraj roz savere ugta hai
apne liye to thik usi pal roz dhala hai seene mein
jaane yeh kaisi aag lagi hai isme dhuan na chingari
ho na ho is bar kahi koi khwab jala hai seene mein
jis raste par tapta sooraj saari raat nahi dhalta
ishq ki aisi raah guzar ko humne chuna hai seene mein
kaha kisi ke liye hai mumkin sabke liye eeksa hona
thoda sa dil mera bura hai thoda bhala hai seene mein
dil jis cheez ko haan kehta hai zahen usi ko kehta hai naa
ishq mein uff yeh khud hi se larna ek sazaa hai seene mein
khanjar se haathon pe lakeere koi bhala kya likh paya
humne magar ek pagalpan mein khudko chhala hai seene mein
0 comments: