TOP

CHALO CHORO Muhabbat joot hai

CHALO CHORO

Muhabbat joot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikaar logon ka

“Talab” sookay huway patton ka baironuq jazeera hai

“Khulish” deemuk-zuda awraaq pur boseeda sutron ka zakheera hai

“Khumaar-e-wusl” tuptee dhoop ke seenay pe Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish

“Ghubar-e-Hijr” sehra main sarabon say atey mosum ka khamyaza
..

..

..

..

CHALO CHORO

Ke ab tuk main andhairon ki dhumuk main saans ki zarbon pe

Chahut ki bina ruk kar safar karti rah hon

Mujay ihsas hi kub tha

Ke tum bhee mosumon ke saat apnay peruhun kay rung badlogey

..

..

..

..

CHALO CHORO

Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they

Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar jum gaye hongay

Tumharee unglion ki nurm porain puthuron pe naam liktee thee mera laikin

Thumharee unglian tho aadtun ye jurm karthee thee

..

..

..

..

CHALO CHORO

Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai
Sadion say

..

..

..

..

CHALO CHORO

Mera hona nu hona ik barabar hai

Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do

Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do

“meray khwabon ko murnay do”

nayee tasweer daiko

phir naya maktoob liko

phir naye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho

meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo

meree yaadon say kuchey raabitay torho
..

..

..

..

CHALO CHORO

muhabbat jhoot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka

0 comments:

Post a Comment