TOP

A sitaara-e-shab-e-zindagi

Wohi shaam kuhar si shaam phir

Teray naam ho to ghazal kahein


Wohi shaam jis ki ragon mein thay


Teri khuwaab aankhon k ratjagay


Wohi subha dhoop ki laadli


Teray aarizon pay khilay to phir


Rug-e-jaan say nazm kasheed ho


Wohi saa'aton ka juloos ho


Wohi rung ho, wohi roshni


Wohi khushboo'on ka hujoom ho


Wohi aik pall teri deed ka


Jo milay to ashk damak utthein


Jo bujhay hein daagh chamak utthein


Wohi aik pall teri deed ka


Jo milay to derd ki oat mein


Sab hi qehqahay say chalak parein


Sir-e-loh-e-shaam-e-firaaq phir


Ghum-e-ishq mouj-e-naveed ho




A sitaara-e-shab-e-zindagi


Idher aa k jashan ho motaber




Nazer aa k dhang say EID ho.

0 comments:

Post a Comment