TOP

hum jo tareek rahoon mein mary gaye


Tery hoontoon kay pholoon ki chahat main hum

daar ki khusk tehni pay wary gaye

tery hathoon ki shamoon ki hasraat main hum

neem tareek rahoon main mary gaye


sooliyon pay humaray laboon say paray

tery hoontoon ki lali tapakti rahi

teri zulfoon ki masti barasti rahi

tery hathoon ki chandi damakti rahi


jab ghuli teri rahoon main sham-i-sitam

hum chalay aye , laye jahan tak qadam

lab pay harf-i-ghazal , dil main qandeel-i-gham

apna gham tha gawahi tery husan ki

dekh qayam rahay is gawahi pay hum

hum jo tareek rahoon mein mary gaye


Narsai ger apni taqdeer thi

teri ulfat to apni hi tadbeer thi

kis ko shiqwa ger shooq kay silsalay

hijer ki qatal gahoon say sab ja millay

qatal gahoon say chun ker humaray alam

aur niklain gay ushaaq kay qafilay

jin ki rah-i-talab say humaray qadam

mukhtasir kar chalay derd kay faslay

Ker chalay jin ki khatir jahaan-geer hum

jaaan gawa ker teri dilbiri ka bharam

hum jo tareek rahoon mein mary gaye



0 comments:

Post a Comment