dard poahil jaye to aik wakt ata hai
dil dharakta rehta hai
arzo gazedon kay hoslay nahi chaltay
dashte e beyakeni main aasray nahi chaltay
rehbaron ki ankhon main
manzilain na jab tak hon,qaflay nahi chaltey
ik zara tawaja say dekhiye to khulta hai
log in per chaltay hain, rastay nahi chaltay
sochnay samajhnay say, sath sath chalnay say
doriyan simatti hain , faslay nahi chaltay
khuwab khuwab ankhon main rat jagay nahi chaltay
dar guzar kay halqay main mass`alay nahi chaltay
do dilon ki qurbat main tesra nahi hota
wastay nahi chaltay
bakht sath chalta hai taala azmaon ka
wakt raam kernay main tajzion kay dao kia
tajrubay nahi chaltay
ishq ke ilaqay main hukum e yar chalta hai
zabtay nahi chaltay
husn ki adalat main , aajzi to chalti hai
martabay nahi chaltay
dosti kay rishtn ki parwarish zarori hai
silsilay taluk kay khud say ban to jatay hain
laikin in shagofon ko totnay bikharnay say
rokna bhi perta hai
chahaton ki miti ko , arzo kay poday ko
senchna bhi perta hai
ranjishon ki baton ko bholna bhi perta hai
0 comments: