Hamara kya hai ke ham to chirag-e-shab ki tarah
Agar jale bhi to bas itni raoshni hogi
Ke jaise tunn-d andheron ki raah main jugnu
Zara si dair ko chamakain, chamak ke kho jain
Phir is ke baad kisi ko na kuch sujhai de
Na shab katay, na surag-e-sahar dikhai de
Hamara kya hai ke ham to pas-e-Gubhar-e-safar
Agar chalay bhi to bas itani raah tay hogi
Ke taiz hawaon ki zard, maa-il naqsh-e-qadam
Zara si dair ko ubharay ubhar ke mitt jaye
Phir us ke baad na rasta na rah_guzaar milay
Had-e-nigah talak dasht-e-be-kinar milay
Hamari simt na dekho ke koi dair main ham
Qabbila-e-dil-o-jaan se bicharnay wale hain
Basay basaye huwe shehar apni Aankhon ke
Misal-e-khana-e-weeran, ujarnay wale hain
Hawa ka shor yea hi hai, to dekhatay rehna
Hamari umar ke khemay ukharnay wale hain,
0 comments: