TOP

gardanain kat bhi do gay, to laho bolay ga


tum nay har ehad main har nasal say ghaddari ki

tum nay bazaron main akloti kharedari ki

ent say ent baja di gai khud dari ki


khof ko rakh lia khidmat pay kama dari ki

or aj tum mujh say meri jins e giran mangtay ho

halfe zehno, wafa dari e jan mangtey ho?

jao ye chez kisi maddah sara say mango

taifay walon say, dholak ki sada say mango

mujh say pocho gaye to khanjar say adou bolay ga

gardanain kat bhi do gay, to laho bolay ga

gardanain kat bhi do gay, to laho bolay ga

0 comments:

Post a Comment