TOP

Garz tark-e-ta'aluq koi chara bhi nahi tha

Garz tark-e-ta'aluq koi chara bhi nahi tha
Bin us k mager apna guzara bhi nahi tha

Daa'way to sabhi ko thy wafadari k, lekin,


Ham dooby to tinkay ka sahara bhi nahi tha.

Wo shakhs rag-o-pay mein uterta hi gaya youN,
Jesy k mujhy khud pe ajaara bhi nhi tha...

Duniya se to khair apna gila hi nahi banta,
Is dil ko mager ranj tumhara bhi nahi tha

Lamhat-e-firaq a'ay khary thy kiu abhi se,
Ham ne to abhi waqt guzara bhi nahi tha

Mein dil khol k rakhta, to kis aagy..........?
Yahan mujh sa koi dard ka mara bhi nahi tha

0 comments:

Post a Comment