Amal ko tolnay walay baray darVaish hotay hain
Khmoshi bolnay walay baray darvaish hotay hain
Yahan sach bolnay walay baray darvaish hotay hain
Zamana barf ki sil ki tarha jab sard par ja'ay
to uss par khoulnay walay baray darvaish hotay hain
Wo darvaishi jo kohna umr main aa'ay, bhali laikin
jawani rolnay walay baray darvaish hotay hain
Anaa'on, nafrato'n, Khud gharzio'n kay thehray pani main
Muhabat gholnay walay baray darvaish hotay hain
0 comments: