Qarz gham ka chukana parha hai
ro k bhi muskurana parha hai
satch ko satch keh diya tha usii par
meray peetchay zamana parha hai
ik Khuda k na aagay jhukay to,
dar ba dar sar jhukana parha hai
tujh ko apna bananay ki khatir
sab ko apna banana parha hai
kya batayain k kin mushkilo'n mai
zindagi ko nibhana parha hai
sang dil hain jo mash'hoor NUZHAT
shair unko sunana parha hai
0 comments: