Main na mil sakoon jo tum say, meri justujoo na karna
Tumhain, meri hi qasam hai, meri aarzoo na karna
Kabhi munh ko phair laina, kabhi guftagoo na karna
Main nay chaha tha kisi ko, maira haal kia hai daikho
Jo kiya qusoor mainay wohi tum kabho na karna
, meri ho agar burai to na daina tum safai
Mairay saath khud ko ruswa kabhi ku-ba-ku na karna
Koi poochay badnaseebi ki hai inteha bhi koi?
To mairi misaal daina tum mujhay namoo na karna
Main na mil sakoon jo tum say, meri justujoo na karna
Tumhain , meri hi qasam hai, , meri aarzoo na karna
0 comments: