TOP

wo bazahir jo zamany say juda lagt ahai


wo bazahir jo zamany say juda lagt ahai
hans kay bolay to dunya say juda lagta hai

or kuch dair na bujhnay day isay rab e sehar
dobta chand mera dast e dua lagta hai

jaisay mu phair kay raste say hawa guzri hai
aisay mousam main to jungle bhi hara lagta hai

shehar ki bheer main khulte hain kahan us kay nakosh
ao tanhai main sochain kay wo kia lagta hai

moun chupay hoay guzra hai jo ahbab say aj
us ki ankhon man koi zakham naya lagta hai

ab to mohsin kay tasawur main utar a rab e jalil
is udasi main to pathar bhi khuda lagta hai

0 comments:

Post a Comment