Khwaab marte nahin
Khwaab dil hain na aankhein na saansein ke jo
Rezaa-rezaa hue to bikhar jayein ge
Jism ki maut se yeh bhi mar jayein ge
Khwaab marte nahin
Khwaab to roshni hain,
navaa hain,
hawa hain
Jo kaale paharon se rukte nahin
Roshni aur navaa aur hawa ka alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukte nahin
Khwaab to harf hain
Khwaab to noor hain
Khwaab to suqraat hain
Khwaab mansoor hain
0 comments: