TOP

EiD ki peshgi Mubarak Baad !

In tarraqtay naheef kaandho'on per
apney kumbey ka bojh dhota hon
or jab dil ka bojh barhta hai
biwi, bachon say chup k rota hon
zabt e gham ki nahin koi me'aad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !

Bujhti aankhain, sota howa chehra

yehi anjaam e sakht koshi hai
jorta hon raqam kafan k liye
yehi asl e safaid poshi hai
her tag o do ki hai yehi bunyaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !

Seetiaan baj rahi hain kan'on mai

siskion or thandi aahon say
EiD ka chand kia nazar aa'ey
dab dabaati hoi nigahon say
arz be nutq, be sada irshaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !

Keh rahi hai zabaan e hal mairi

mai nai ki hai tarraqi e ma'koos
roz chupta hon qarz khahon sai
kaise banwaon khush numa malboos
har zaroorat hai baanjh, be ejaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !

Thak gaya hai maira rafugar bhi

yun udharta hai chaak sil sil kar
kehtey hain EiD hans k milte hain
main agar ro para galey mil kar
mujh ko is rasm sai rakkho aazaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !

Ek patthar hai mere seeney mai

ya dil e na'saboor rakhta hon
Kashu: EiD per khush libaas bachon sai
apney bachon ko door rakhta hon
aap hi said aap hi sayyad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !

EiD k din kahin nikaltey nahi

mai, mairi ahliya, mairi aulaad
is liye doston ki khidmat mai
EiD ki peshgi Mubarak Baad !

Khush rahain sab ba qadar e iste'daad

EiD ki peshgi Mubarak Baad !

0 comments:

Post a Comment