TOP

Eid ab ke baras nahee ai

Hai wohi aasman zameen wohi

Maah o anjum ussi tarah raushan


Kehkashaan ab bhi muskuraati hai


Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi


Baad muddat ke saaray pardesi


Apne apne gharoon ko aaye hain


Har taraf rang-o-bou ka mela hai


Aur tanha mein apne kamre mein


Kab se betha hoon aur soch raha hoon


Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere


Jo guzashta barass thi raunaq


Ab woh kaheen bhi nazar nahe aati


Hai fiza mein ek ajeeb sa san’naatta


Haan faqat ek tere chale jaanay se


Aisa mehsoos horaha hai mujhe


Rutt khushi ki har taraf tu aee hai


Sirf chote se mere aangan mein


Eid ab ke baras nahee ai


0 comments:

Post a Comment