Kabi ghar say nikal kar tum ne socha
Akelay chand ko dekha
Kabi sunsaan bagh'oon main
Kisi tanha rawishh par chalte chalte ' chaand say pocha
K wo tum say zada muztaraab kiyun hai
Magar tum
Bunnd kamrey k makeen
Khuwaboon k shezaday
Nikal kar garam kamray say
Kahan jaoo gay adhi raat ko sunsaan bagh'oon main
Akelay chaand say baa'tain to wo mazlum keya karte hain
Jin'hain apne he ghar k Dar-O-Dewaar dhutt'kaar daite hain
Jinhain apni he awaz k khanjar maar daite hain
Parveen Shakir
0 comments: